علم زکات و صدقات

علم زکات و صدقات







ROOHANI AMLIYAT KA MOZU ZAKAWT WA SADQAT K ZIKR K BEGHAIR ADHOORA HAI KOYE BHI AMIL US WAQT TAK ''AMAL-E-SAHEEH'' KA AEHAL NAHI HO SAKTA JAB TAK US NE APNE AMAL KI ZAKAWT ADA NA KI HO
IS MOZU PER ZAROORI BATON KA ZIKR BOHAT ASAN ZUBAN MEI KAR DIYA GEYA HAI TA K TALIB'ILMO KO MUSHKIL BHI NA HO AUR WO ASANI K SATH SHARAYET KO BHI PURA KAR SAKEN

''ZAKAWT KI AEHMIYYAT''


AMLIYAT MEI AIK AEHAM BUNYADI MASLA ZAKAWT KA HAI AKSAR AAMILEEN IS KO NAZAR ANDAZ KAR DETAY HEN NATEEJA'TAN IN KO JAGA JAGA NAKAMI KA SAMNA KARNA PARRTA HAI PESHAWAR AAMILEEN _TO NAKAM HONE PER BHI JHOOT, SUCH BOL KAR KAM CHALA LETAY HEN LEKIN PARESHANI AUR MAYOOSI MUHAQQA'QEEN KO AUR UN AWAM-UN-NAS KO GHER LETI HAI JO APNE MASAYEL K LIAY AAMILEEN K PAS AATY HEN IS LIAY UN TAMAM HAZRAT K LIAY ZAKAWT KI ADAYEGE ZAROORI HAI JO IS RAH MEI QADAM RAKHNAY KA IRADAH KAR RAHE HEN

AKABIREEN KI TAHQEEQ K MUTABIQ ZAKAWT KI HAQEEQAT YEH HAI K HAQ TA'ALA NE APNI QUDRAT-E-KAMILA SE HAR HAR HARF PER AUR QURAN KI HAR HAR AAYAT PER AUR APNE TAMAM ASMA PER MALAYEKA(FARISHTO) KO MUQARRAR KAR DIYA HAI AUR HAR HARF KA TALLUQ KISI NA KISI FARISHTAY SE WA'BASTA HAI PHIR HAR WOH FARISHTA JO KISI HARF YA AAYAT PER NIGRAN HO WO HESSIYAT-E-BA'MANZALA SARDAR K HOTA HAI PHIR US K MATEHAT AUR BHI FARISHTAY HOWA KARTAY HENJO ALLAH K BANAYE HOYE QANOON AUR ZABITAY K MUTABIQ APNE SARDAR K AHKAMAT KI TAMEEL KARNE PER MAJBOOR HEN

YEH BAT BILKUL AAM FEHAM HAI K HAMARAY KISI HUKAM KI TAMEEL WOHE SHAKHS KARE GA JIS SE KOYE TALLUQ YA TA'ARRUF HO GA BE'TAARRUF AUR BILA TALLUQ AGAR KOYE KAM AA JAYE TO YEH SIRF ITTEFAQI AMAR HAI WARNA IS DUNIYA MEI KAM USI KA KIYA JATA HAI JIS SE SHANA'SAYE BHI HO AUR KISI TARAH KA TALLUQ BHI IS HAQEEQAT K PESH-E-NAZAR ZARA SOCHEN JIN MOAKELEEN YA MALAYEKA SE HAMARA KISI BHI TARAH KA TARRUF YA TALLUQ NA HO HUM US AAYAT KA AMAL KARNE CHALEN JIS AAYAT PER BATOR-E-NIGEHBAN WO MUSALLAT HEN TO BHALA YEH KESE MUMKIN HAI K AMAL MEI TASEER PEDA HO JAYE YEH BAT APNI JAGAH ATTAL HAI K ASAL CHEEZ MARZIYAT-E-KHUDAWANDI HAI LEKIN YEH BAT BHI APNI JAGAH MUSALLAM HAI K ASBAB KI IS DUNIYA MEI SABAB IKHTEYAR KARNA MIZAJ-E-NABAVI (SAL'ALLAHO ALAIHE WA SALLAM) BHI HAI AUR HUKME MOLA BHI IS DUNIYA MEI JAB KISI AFSAR KI SIFARISH SE HAMARA KAM BANTA HAI TAB BHI MARZI-E-MOLA KO IS MEI DAKHAL HOTA HAI MALIK-E-HAQEEQI KI MARZI K BEGHAIR NA KABHI KUCH HOWA HAI NA KABHI HO GA ISI TARAH AMLIYAT KI RAH FARISHTON KI SIFARISH YA IMDAD SE KAM BAN JAYE TAB BHI MOLA KI MARZI WA IZN KA US MEI DAKHAL HO GA LEKIN JIS TARAH ASBAB KI IS DUNIYA MEI YEH AQEEDAH RAKHTAY HOYE K ALLAH HE KI MARZI SE SAB KUCH HOTA HAI HUM BALAYEE LOGO SE SIFARISH KARWATAY HEN AUR AFSARAN KI KHUSHAMAD KARTAY HAEN ISI TARAH AMLIYAT MEI TASEER PEDA KARNE K LIAY MALYEKA , MOAKELEEN SE SHANASAYE PEDA KARNA AUR UN K ZARIAY KAM KARANAY KI JADDO JEHAD KARNA TOHEED K MANAFI NAHI HAI YAQEEN BA'HARHAL DIL MEI YEH HONA CHAHIAY K KARNE WALI ZAT HAQ TA'ALA KI HAI

AAP NE DEKHA HO GA BESHUMAR LOG IS DUNIYA MEI AMAL KARAT HEN MAGAR AKSAR LOG APNE AMAL MEI NAKAM HO JATAY HEN AUR MATLOOBA TASEER SAMNAY NAHI AATI TO IS KA SAF MATLAB YEH HOTA HAI K AMAL MEI KAHEN NA KAHEN KOYE NA KOYE KAMI BAQI REH JATI HAI JIS KI WAJA SE YEH AMAL BE'TASEER HO KAR REH JATA HAI WARNA IS DUNIYA MEI KOYE BHI CHEEZ AISE NAHI JO BE'IZNILLAH MOASSER NA HO LEKIN HAR CHEEZ APNA ASAR US WAQT DIKHATI HAI JAB USAY QAYEDAY AUR TAREEQA SE ISTEMAL MEI LAYA JAYE KISI BHI CHEEZ SE FAYEDAH UTHANE K LIAY NEKI BADI BHI KOYE MUFEED AUR MANE'A NAHI BANTI AGAR TAREEQAY SE KAM KIYA JAYE GA TO BURA AADMI BHI KUCH NA KUCH LE URRAY GA AUR AGAR BEQAYEDAH KAM KIYA JAYE TO NEK AUR PARSA INSAN BHI KAMYABI SE MEHROOM RAHE GA IS LIAY K ASBAB KI IS DUNIYA MEI KAMYABI SE HAMKANAR HONE K LIAY MANZIL KI TARAF SAHE QADAM UTHANA ZAROORI HAI , ZEHAR K PEYALA NEK AADMI PIAY YA BAKAR AADMI ZEHAR APNA ASAR DIKHA KAR RAHE GA AUR ISI TARAH TARYAQ KA ISTEMAL BURA AADMI KARE YA BHALA AADMI US KA ASAR BHI ZAHIR HO KAR RAHE GA , SHEREENI SAB K LIAY METHI HOTI HAI , NAMAK SAB K LIAY NAMKEEN HOTA HAI , NAMKOLI SAB K LIAY KARRWI HOTI HAI AISA NAHI K NAMKOLI NEK AADMI K MUON MEI JA KAR APNA ZAYEQA BADAL DE AUR WOH MEETHI HO JAYE ISI TARAH AISA BHI NAHI HAI K KOYE METHI CHEEZ KISI BE'KIRDAR INSAN K MOUN MEI JA KAR APNA ZAYEQA TABDEEL KAR DE AUR TALKH BAN JAYE

BEHAR'HAL ASBAB KI IS DUNIYA MEI AGAR HUM APNE MAQASID MEI KAMYABI BHI CHAHTAY HEN TO MEHNAT,LAGAN AUR SAHEE RASTAY KO EKHTEYAR KARNA ZAROORI HAI WARNA MASAWA NAKAMI YA WAQTI KAMYABI K ILAWAH AUR KUCH BHI HATH NAHI LAGE GA AMLIYAT MEI ZAKAWT KI AADAYEGE IS TARAH ZAROORI HAI JIS TARAH NEMAZ K LIAY WUZU SHART HAI BEGHAIR WUZU K JO NEMAZ ADA KI JAYE WO BA'ZAHIR NEMAZ HO GE LEKIN AISE NAMAZ BE ROOH HO GE AUR IS KA KOYE NATEEJA DEEN-O-DUNIYA MEI ZAHIR NAHI HO GE AISI NAMAZ HAMARY AFA'AL O KIRDAR PER KOYE ASAR NAHI CHOORAY GE AUR AAKHRAT MEI BHI IS PER KOYE AJAR MURATTAB NAHI HO GA ISI TARAH AMLIYAT JO ZAKAWT K BEGHAIR TAJARBA MEI LAYE JAYEN GE BE'ROOH RAHEN GE UNKA KOYE MUSBAT ASAR ZAHIR NAHI HO GA AUR AGAR ZAHIR HO GA TO SIRF ITTEFAQI JIS TARAH IS DUNIYA MEI ZEHAR PEE KAR BHI INSAN NAHI MARTA HALAN K ZEHAR KA KAM HE MAR DALNA HAI LEKIN KABHI JAB ALLAH KI MARZI NAHI HOTI TO CHURI AUR AAG BHI APNA KAM NAHI KARTI LEKIN USAY QAYEDAH-E-KULLIYA NAHI SAMJHA JA SAKTA , BEHAR'HAL JO LOG AMIL BAN'ANY K LIAY AARZU MAND HEN WOH YEH BAT APNE DIL MEI UTAR LEN K AMLIYAT SE PURI TARAH MUSTAFEEZ  HONAY K LIAY ZAKAWT KI AADAYEGI ZAROORI HAI

ZAKAWT KI AADAYEGI KA MASHOOR WA MAROOF TAREEQA TO YEH HAI K JIS ISM BARI TA'ALA YA JIS AAYAT YA AZZEEMAT KI ZAKAWT NIKALNI HO USE SAWA LAKH (125000) MARTABA AIK WAQT MUQARRAR KAR K PARRHA JAYE  KAM SE KAM AIK CHILLA 40 DIN MEI YA PHIR ZEYADAH SE ZEYADAH 3 CHILLON MEI YANI 120 DIN MEI SAWA LAKH  KI TADAD PURI KI JAYE LEKIN AMILEEN KAMILEEN NE ZAKAWT KI MUKHTALIF QISMEN BEYAN KI HEN HUM IS PER INN'SHAA'ALLAH TAFSEEL SE ROSHNI DALEN GE ,

YEH BAT YAD RAKHNI CHAHIAY K YEH ZAKAWT JO AMAL K LIAY ADA KI JATI HAI IS KI SHARAYE KOYE HESSIYAT NAHI HAI YEH AMAL KO MAZBOOT KARNE K LIAY HAI AUR ARBAB-E-TAJARBA NE ISAY IJAD KIYA HAI AAMILEEN-E-MUHAQQAQEEN NE ZAKAWT KI MUKHTALIF QISMEN BEYAN KI HEN AUR ZAKAWT K ALAG ALAG ASRAT BHI BATAYE HEN , MASLAN ZAKAWT KI AIK QISAM YEH BHI HAI K AMIL APNE NAME K ADAAD AUR QURAN KAREEM KI AAYAT KO JIS K ZARIAY KOYE AMAL KARNA CHAHTA HO APNE NAME K ADAAD K MUTABIQ AIK RAT PARRHE ISI TARAH 40 RAT PARRHNE SE ZAKAWT ADAA HO JAYE GE LEKIN YEH ZAKAWT SIRF AIK HE BAR AMAL K LIAY KAR'AAMAD SABIT HO GE AUR AIK HE BAR AMAL KARNE K BAD BATIL HO JAYE GE AB IS MEI ASAR BAQI NAHI RAHE GA

MASLAN HASSAN K MAJMOOYE ADAAD 118 HEN AB MEI AAYAT KAREEMA K AMAL KO MOASSAR BANANY K LIAY سَلَامٌ قَوْلًا مِن رَّبٍّ رَّحِيمٍO KI ZAKAWT ADA KARNA CHAHTA HOUN TO MEI ROZANA BA'NEYYAT ZAKAWT MAZKOORA AAYAT KO 118 BAR PARHHO GA TO ZAKAWT ADAA HO JAYE GE ZAKAWT KI ADAEGE K BAD MEI NE MAZKOORA AAYAT KO KISI SEHAR ZADA AADMI KO PANI PER PARRH KAR DAM KIYA AUR IS TARAH MEI NE IS AAYAT KO APNE AIK AMAL K LIAY PARRH LIYA IS AMAL K BAD AAYAT MAZKOORA KI ZAKAWT KHATAM HO GAYE AB KISI AUR AMAL K LIAY MUJHAY DOBARA PHIR ZAKAWT ADAA KARNA HO GE BAHAR'HAL AMIL K APNE NAME K MAJMOYE ADAAD K BARABAR JO ZAKAWT 40 DINO MEI ADAA KI JATI HAI WOH SIRF AIK HE BAR AMAL KARNE K LIAY HOTI HAI IS K BAD IS K ASRAT ZAYEL HO JATAY HEN


ZAKAWT KA DOSRA TAREEQA YEH HAI K JIS AMAL YA AAYAT KI ZAKAWT ADAA KARNI HO US K HAROOF GIN LIAY JATAY HEN JITNAY HAROOF HON UTNAY HE 100 MARTABA USAY PARRHA JAYE AUR LAGATAR 40 DIN TAK PARRHA JAYE YEH ZAKAWT BHI AIK HE DAFA AMAL K LIAY HOTI HAI , MASLAN MAZKOORA AAYAT K KUL HAROOF 18 HEN TO ROZANA 1800 MARTABA PARRHNA CHAHIAY ZAKAWT KA YEH TAREEQA PEHLAY WALAY TAREEQAY K MUQABILAY MEI ZEYADA QAWI HAI 

IN K ELAVAH ZAKAWT KI AUR BHI KYE QISMEN BEYAN KI GAYE HEN ,
ZAKAWT KI AIK QISAM ''ZAKAWT-E-SAGHEER'' KEHLATI HAI , IS KA TAREEQA YEH HAI K AMAL K ADAAD NIKALE JAYEN JO BHI ADAAD HON UTNI HE MARTABA ROZANA 40 DIN TAK AMAL PARRHA JAYE , MASLAN MAZKOORA AAYAT K ADAAD 849 HEN TO ROZANA 849 MARTABA PARRHNE SE 40 DIN TAK ZAKAWT ADAA HO JAYE GE LEKIN YEH ZAKAWT ''ZAKAWT-E-SAGHEER''
HO GE AUR YEH ZAKAWT 3 SAL TAK K LIAY MOASSER BANE GE IS K BAD KHUD'BA'KHUD BATIL HO JAYE GE AUR IS K ASRAT KHATAM HO JAYEN GE YA JESE '' BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM'' 786 MARTABA LAGATAR 40 DIN PARRHE GA TO ZAKAWT-E-SAGHEER ADAA HO JAYE GE LEKIN YEH ZAKAWT JESA K OPER BEYAN KIYA GEYA HAI SIRAF 3 SAL TAK MOASSER RAHE GE US K BAD IS K ASRAT KHATAM HO JAYEN GE

ZAKAWT KI DOSRI QISAM ''ZAKAWT-E-ASGHAR'' HAI ZAKAWT ASGHAR KA TAREEQA YEH HAI K AMAL K ADAAD KO NISF (HALF) KAR LIYA JAYE PHIR JO TADAD HO UTNI MARTABA ROZANA PARRHA JAYE , MASLAN سَلَامٌ قَوْلًا مِن رَّبٍّ رَّحِيمٍ K ADAAD 849 HEN IS K NISF HOYE 424 , AB MAZKOORA AAYAT KO AGAR 40 DIN TAK ROZANA 424 MARTABA PARRHA GEYA TO ZAKAWT ASGHAR ADAA HO GE , YA MASLAN AGAR ''BISMILLAH SHARIF'' KO 393 MARTABA ROZANA 40 DIN TAK PARRHA GEYA TO ''ZAKAWT-E-ASGHAR'' ADAA HO GE YEH 'ZAKAWT-E-SAGHEER' K MUQABILE MEI KAMZOR BHI HAI AUR IS K ASRAT BHAI AIK HE SAL TAK BAQI REHTAY HEN US K BAD ZAYEL HO JATAY HEN

ZAKAWT KI TEESRI QISAM HAI ''ZAKAWT-E-SAGHAYER'' HAI, YANI 'ZAKAWT-E-ASGHAR' KA NISF HO, سَلَامٌ قَوْلًا مِن رَّبٍّ رَّحِيمٍ  AGAR MAZKOORA AAYAT KO ROZANA 212 MARTABA PARRHEN GE 40 DIN TAK TO ''ZAKAWT-E-SAGHAYER'' ADAA HO GE , ISI TARAH AGAR ROZANA ''BISMILLAH SHARIF'' KO ROZANA 196 MARTABA PARRHEN GE TO BISMAILLAH KI 'ZAKAWT-E-SAGHAYER' ADAA HO GE YEH ZAKAWT ''ZAKAWT-E-ASGHAR'' SE BHI KAMZOR HAI AUR IS K ASRAT 6 MAH TAK REHTAY HEN US K BAD ZAYEL HO JATAY HEN

ZAKAWT KI CHOTHI 4TH QISAM HAI ''ZAKAWT ASGHAR SAGHAYER'' HAI YANI 'ZAKAWT-E-SAGHAYER' KA BHI NISF HO سَلَامٌ قَوْلًا مِن رَّبٍّ رَّحِيمٍ  AGAR MAZKOORA AAYAT KO 106 MARTABA AUR ''BISMILLAH SHARIF'' KO 98 MARTABA 40 ROZ TAK PARRHEN GE TO ''ZAKAWT-E-ASGHAR SAGHAER'' ADAA HO GE YEH ZAKAWT 'ZAKAWT-E-SAGHAYER' K MUQABILE MEI BHI KAMZOR HAI AUR IS K ASRAT 3 MAH TAK REHTAY HEN PHIR ZAYEL HO JATY HEN

ZAKAWT KI PANCHVI 5TH QISAM ''ZAKAWT-E-KABEER''  YEH HAI K JO BHI AMAL PARRHNA HAI US K HAROOF GIN LIAY JAYEN K KITNAY HEN AUR PHIR US K HAROOF K ADAAD HASIL KAR LIAY JAYEN AUR HAROOF KI TADAD KO ADAAD SE ZARAB DE DIYA JAYE HASIL ZARAB K TOR PER JO ADAD NIKLE UTNI HE TADAD MEI ROZANA US AMAL KO PARRHA JAYE 40 ROZ TAK LAGATAR  ZAKAWT KI YEH QISAM ''ZAKAWT-E-KABEER'' KEHLATI HAI AUR YEH AB TAK KI BEYAN KARDA TAMAM ZAKAWT KI QISMO SE ZEYADA QAVI HAI YEH ZAKAWT UMAR BHAR KAM DETI HAI YANI AIK BAR IS TARAH AGAR KISI AMAL KI ZAKAWT ADAA KAR DE GAYE PHIR DOBARA ZAKAWT KI ADAYEGE KI TA'HAYAT ZAROORAT NAHI PARRE GE BA'SHART K HAROOF KI TADAD K MUTABIQ ROZANA AMAL KA WIRD JARI RAHE
IS TAFSEEL KO MISAL SE SAMJHEN , MASLAN AAP ''BISMILLAH HIR RAHMAN NIR RAHEEM''  KI ZAKAWT ADAA KARNA CHAHTY HEN TA K ''BISMILLAH'' K MUKHTALIF AAMAL MEI AAP BAR'WAQT FAYEDA UTHA SAKEN TO IS KA TAREEQA YEH HAI K PEHLE AAP 'BISMILLAH' K HAROOF DEKHEN K KITNAY HEN AAP NE SHUMAR KIAY TO PATA CHALA WOH  19  HEN IS K BAD AAP NE IN HAROOF K ADAAD BAR'AAMAD KIAY TO MALOOM HOWA K WOH 786  HEN AB AAP 19 KO 786 SE ZARAB DEN GE , HASIL ZARAB  14934 AAYE GA , IS TADAD MEI YANI  14934 MARTABA ROZANA 'BISMILLAH' KO AGAR 40 ROZ TAK PARRH LIYA JAYE TO ''ZAKAWT-E-KABEER'' ADAA HO GE IS K BAD 'BISMILLAH' KA JO BHI AMAL KIYA JAYE GA WOH IN'SHAALLAH TA'ALA MOASSER SABIT HO GA AUR FORAN HE US K NATYEJ MILEN GAY

ZAKAWT KI CHATI 6TH QISAM ''ZAKAWT-E-AKBAR'' YEH HAI K 'ZAKAWT-E-KABEER' KI TADAD KO AMAL K HAROOF KI TADAD SE ZARAB DE DIYA JAYE AUR HASIL ZARAB K TOR PER JO ADAAD NIKLE UTNI TADAD MEI ROZANA AMAL KO 40 ROZ TAK PARRHA JAYE , MASLAN 'BISMILLAH' KI ZAKAWT-E-KABEER KI TADAD 14934 HAI AB ISKO BISMILLAH K HAROOF KI TADAD 19 SE ZARAB DEN TO HASIL ZARAB  283746 AAYE GA AGAR KOYE SHAKHS ITNI MARTABA ROZANA BISMILLAH KO PARRHE GA TO AMAL K ANDAR ZABARDAST QUWWAT PEDA HO GE AUR ''BISMILLAH'' K MOAKELEEN ROZANA AMIL SE BIL'MUSHAFA MULAQAT KARNE AAYEN GE ZAKAWT KI YEH QISAM
''ZAKAWT-E-AKBAR'' KEHLATI HAI AUR YEH
 'ZAKAWT-E-KABEER' SE ZEYADA QAVI HAI

ZAKAWT KI SATVI 7TH QISAM ''ZAKAWT-E-KABAYER''  YEH HAI K 'ZAKAWT-E-AKBAR'' KI TADAD KO AMAL K HAROOF SE ZARAB DE DIYA JAYE AUR JO ADAAD HASIL ZARAB K TOR PER HON UTNI HE TADAD ROZANA AMAL 40 ROZ TAK PARRHA JAYE , MASLAN ''BISMILLAH SHARIF'' K ZAKAWT-E-AKBAR KI TADAD 283746 HAI AB IS TADAD KO JAB AAP 19 SE ZARAB DEN GE TO 5391174 AAYE GA ITNI MARTABA 'BISMILLAH' KO AGAR ROZANA PARRHA JAYE TO ZAKAWT ADA HO GE AUR AMAL K MOAKELEEN AMIL K TABAY AUR GHULAM BAN JAYEN GE AUR AANKH K ISHARE PER KAM KAREN GE AMIL JO BHI HUKAM DE GA WOH TAMEEL KAREN GE AUR SAMUNDER KI GEHRAYE MEI CHUPI HOYE DOLAT AUR ZAMEEN MEI POSHEEDAH KHAZANO KI KHABAR DEN GE ZAKAWT KI YEH QISAM ''ZAKAWT-E-KABAYER'' KEHLATI HAI AUR 'ZAKAWT-E-AKBAR' K MUQABILA MEI BOHAT ZEYADA QAVI HAI

ZAKAWT KI AAKHRI QISAM ''ZAKAWT-E-AKBAR KABAYER'' YEH HAI K  ZAKAWT-E-KABAYER KI TADAD KO AMAL K HAROOF KI TADAD SE ZARAB DEN HASIL ZARAB K TOR PER JO ADAAD AAYEN UTNI MARTABA ROZANA AMAL KO 40 ROZ TAK PARRHEN , MASLAN ''BISMILLAH'' KI ZAKAWT-E-KABAYER KI TADAD 5391174 HAI AB IS KO 19 SE ZARAB DIYA TO HASIL ZARAB  102432306 AAYA HAI ITNI MARTABA 'BISMILLAH SHARIF' KO ROZANA AGAR PARRH LIYA JAYE TO ZAKAWT ADAA HO GE JO SHAKHS AMAL KI YEH ZAKAWT ADAA KAR DETA HAI TO WOH AMIL ROHANI BADSHA BAN JATA HAI AUR IS K BAD AGAR WOH AIK MARTABA BHI AMAL KO PARRH KAR KISI KI TARAF NIGAH UTHA KAR DEKH LE TO INQALAB PEDA KAR DE AGAR PATHAR BHI DEKHAY GA TO US MEI SHAGAF PEDA KAR DE GA AGAR AISA AMIL URRTAY HOYE PARINDE KO GHUSSE SE DEKH LE TO PARINDA ZAMEEN PER AA KAR GIRAY ZAKAW KI YEH AAKHRI QISAM  ''ZAKAWT-E-AKBAR KABAYER'' KEHLATI HAI AUR IS K BAD ZAKAWT KI KOYE AUR QISAM NAHI HAI

BAZ AAMAL MEI HAROOF KI TADAD BHI KAM HOTI HAI AUR HAROOF K ADAD BHI KAM HOTY HEN IS SURAT MEI ZAKAWT BARRI SE BARRI BHI ADAA HO JATI HAI LEKIN FI ZAMANA AGAR SIRF ''ZAKAWT-E-KABEER'' HE ADAA KAR DE JAYE TO BEHTER HAI KEON K IS ZAMANA MEI HIMMATEN BHI KAMZOR HEN , TANDRUSTIYAN BHI PEHLE JESI NAHI HEN AUR FURSAT BHI NAHI HAI LEHAZA ''ZAKAWT-E-KABEER'' PER HE IKTAFA KAR LENA CHAHIAY.


SADQAT:


BAZ KHASOOSI AAMAL MEI SITARON SE MUTALLIQ BAZ GHAZA'ON KO SADQA KIYA JATA HAI TA K AAMAL KI TASEER QAVI HO KAR JALD SE JALD NATAYEJ SAMNE AA SAKEN IS KI TAFSEEL YEH HAI

SHAMS: SOJI KA HALWA , URD KI DAL , ITTER, SHEHAD, KALWONJI.

QAMAR: ZARDAH , DOODH, ASLI DESI GHEE, DAHEE.

ATARAD: PISTA, BADAM, CHAHAR MAGHZ, ANGOOR, ANAR, MOONG KI DAL.

MUSHTARI: SHEHAD, CHOWARE, MISRI, MEETHI ROTI, CHANA.

ZOHRA: CHAHAR MAGHZ, MAKHANAY, CHANAY KI DAL KA HALWAH, KISI BHI TARAH K CHAWAL.

ZOHAL: KICHRRI, SADA ROTI, MASOOR KI DAL, KOYE SE BHI TAKARI.

MAREEKH: GOSHT, PARATHAY, SARSON KA TAIL, KISI BHI TARAH KA KAPRRA.

HAR SITARE KI MUKHTALIF GHAZAYEN HEN , WUSSAT HO TO SAB GHAZAO KA SADQA KARNA CHAHIAY WARNA HAR SITARY KI KOYE AIK GHIZA BHI HASB-E-GUNJYESH SADQA KAR DENI CHAHIAY , SADQA KA ZEYADA WAZAN 9 KILO AUR KAM SE KAM WAZAN 1 KILO HAI , KISI BHI CHEEZ KA SADQA 1 KILO SE KAM AUR 9 KILO SE ZEYADAH THEEK NAHI HAI.

------------------------------------------------------------------------------------------------------------
----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------